Pages

Saturday 26 October 2013

AGar H0 Jaati Meri D0sti BaadaLon K Saath,


AGar H0 Jaati Meri D0sti BaadaLon K Saath,

T0 Ham Tujh per Kabhi Dho0p bhi Na Aaney Dety..

karta to hai yaad mujhe chahat se magar


Mere sapnon ko bikharney na Dena ..



Mere sapnon ko bikharney na Dena ..

Bohat pyar se thamay hain tere hath apny hathon mein .

Friday 25 October 2013

Quaid-e-Azam Hum Sharminda Hain



Admin strongly condemned the rockets and hand grenades attack,
targeting the Quaid-e-Azam Residency in Ziarat

Teri khushbuu meri saanson main basaaney aye,

Teri khushbuu meri saanson main basaaney aye,

Dil ki dunya mein baharon ke zamaney aaye,

Yeh alag baat hai ke tabeer na de sath mera,

Khawb to jitne bhi aaye woh suhaaney aye,

Woh hai maghroor magar pyar se majboor bhi
,
Khud hi naraaz kare khud hi mananey aaye,

Kyon tarss aya hai us ko meri tanhai par,

Woh mujhe meri nazar se na giraaney aye,

Woh bataye na mujhe apne bicharne ka sabab,

Us se keh do woh mera dil na jalaney aye,

Pyaar kya hota hai ab tak mujhe maloom na tha,

Chott khayi to mere hosh thikaaney aye,

Jo mera dil bhi sajaa de mere chehre pe Qateel,

Woh mussawar meri tasveer bananey aye..

Kiya hai pyar jisey hamne zindagi ki tarah.



Kiya hai pyar jisey hamne zindagi ki tarah.
woh ashna bhi mila Hum se ajnabi ki tarah.

kise khabar thi barhey gi kuch aur tareeki.
chupay ga woh bhi kisi badli me chandni ki tarah.

barha ke pias meri usney haath chor dia.
woh kar raha the muhabbat bhi dil lagi ki tarah.

sitam to yeh hai ke woh bhi na ban saka apna.
qabool Hum ne kiye jis ke gham khushi ki tarah.

kabhi na socha tha Hum ne qateel us ke liye.
karey ga Hum pe sitam woh bhi har kisi ki tarah.

Tere mehndi lage hathon pe mera naam likha hai,

Tere mehndi lage hathon pe mera naam likha hai,

Zara se lafzz me kitna paighaam likha hai,

Yeh teri shaan ke shayaan nahin lekin majboori,

Teri masti bhari ankhon ko mene jaam likha hai,

Main shayar hoon, magar agey na barh paya riwayat se,

Labon ko pankhrri*, zulfon ko main ne shaam likha hai,

Mujhe maut aaye gi jab bhi tere pehluu main ayegi,

Tere gham ne bohat acha mera anjaam likha hai,

Meri qismat mein hai ik din griftaar-e-wafaa hona,

Mere chehre pe tere pyaar ka ilzaam likha hai,

Qateel ik khubsurat buut* hai, main jis ka pujaari* hoon,

Mere mazhab ke khaaney mein magar Islam likha hai.