Pages

Friday, 25 October 2013

Khushi ki baat hai ya dukh ka manzar



Khushi ki baat hai ya dukh ka manzar dekh sakti hoon,
Teri awaaz ka chehra main chuu kar dekh sakti hoon,

Abhi tere labon pe zikar fasl-e-gul nahin aya,
Magar ik phool khilte apne andar dekh sakti hoon,

Kinaara dhoondne ki chaah tak mujh mein nahin hogi,
Main apne gird aik aesa samandar dekh sakti hoon,

Vasaal-o-hijar apne yaksaan hain, woh manzar hai chahat me,
Main aankhain band kar ke tujh ko aksar dekh sakti hoon,

Abhi tere siwa duniya bhi hai maujood is dil me,
Main khud ko kis tarah tere barabar dekh sakti hoon..

No comments:

Post a Comment