Najd-e-wahshat me wo damsaz ghzali ankhen
roshni deti hoi raat si kali ankhen,
waqif-e-gham, mutabasum, mutakalum, khamosh,
tum ne dekhi hen kahin esi nirali ankhen?
Dekh ab chashm-e-tsawur se unhen dekh ay dil,
Jo haqiqi thi hoin ab wo khyali ankhen,
tut'ty jaty hen phr zabt k bndhan saary,
phr ulatny ko hen ashqon ki pyali ankhen,
phr keh deti hen ehwal-e-ghm-o-dard-e-hyat,
grchy hm ne thi boht der smbhali ankhen,
shaam-e-furqat k smbhaly hue palkon pe diye,
saal bhr ab to manati hen diwali ankhen,
subh-e-umid ki surat wo firozan se chiragh,
la'iye dhund k phr se esi jmali ankhen
No comments:
Post a Comment