Rahiye Ab Aisi Jagah Chalkar Jahaan Koi Na Ho
Hamsukhan Koi Na Ho Aur Hamzabaan Koi Na Ho
Bedar-O-Deewar Saa Ik Ghar Banaya Chahiye
Koi Hamsaaya Na Ho Aur Paasbaan Koi Na Ho
Padiye Gar Beemar To Koi Na Ho Timaardaar
Aur Agar Mar Jaaiye To Nauhakhvaan Koi Na Ho
Rone Se Aur Ishq Main Bebaak Ho Gaye
Dhoe Gae Ham Aise Ki Bas Paak Ho Gaye
Sarf-E-Baha-E-Mai Hue Aalat-E-Maikashi
The Ye Hi Do Hisaab So Yon Paak Ho Gaye
Rusva-E-Dahar Go Hue Aavargi Se Tum
Baare Tabiyaton Ke To Chalaak Ho Gaye
Kahta Hai Kaun Nalaa-E-Bulbul Ko Beasar
Parde Main Gul Ke Laakh Jigar Chaak Ho Gaye
No comments:
Post a Comment