Pages

Wednesday, 16 October 2013

Urdu Poetry ASMA BANU



aate jaate humpar ek ahesan to kar jaate
thoda zaher apne hathon se de jaate
aaqri deedar to kar jaate
hamare janaze ko kaandha to de jaate

---

jab pyar ke ehsan ko samjh jaoge
har saans mein mera he naam paoge
mera pyar us waqt dega awaz
jab tum dunia kii vheed mein akela paoge

---

jis kii aarzu thi uskii ka he pyar na mila
barson jis ka intezar kya usika he saath na mila
ajib kahani hia mahobbat ka
kisi ko hum na mile aur koi hume na mila

---

bas yeh khel dilon ka hai
chalta he raheta hai
hazaron khushiyon ke pal aaye zindagi mein
par kyun tanhayi ka wo pal yaad aata raheta hai

---

wo sar jhuka ke baithe hain
hamara dill chura ke baithe hain
hum ne un se kaha ke hamara dill wapas lauta do
to wo bole hum haath mein mahendi laga ke baithe hain

---

yun to mera ghar tere ghar ke saamne na tha
logon ko tera milna manzoor na tha
utha late tujh ko tere ghar se
par yeh mere ghar ka dastur na tha

---

manzil kya hai rasta kya hai
hausla kya hai fasla kya hai
wo saza de kar chal gaye
kiss se pooche ke meri khata kya hai

---

maut milti hai na zindagi milti hai
zindagi kii rahon mein bebasi milti hai
tula dete hain kyun mere apne
jab bhi mujhe koi khushi milti hai

---

kabhi 2 sapne choor ho jate hain
halat se pyar bhi door ho jate hain
par yeh yaadein kambaqt itna satati hain
tumhe yaad karne ko majboor ho jate hain

---

hum apni wafa ka yaqeena tum ko dilana sake
tum se door gaye kya ,phir pass aa na sake
iss qadar toot ke chaha tujhe
ke tere baad hum kisi ko chaha na sake

---

zaroori to nahin jeene ke lieyh shara ho
zaroori to nahin jin ke hain wo hamre ho
kuch kashtiyan doob jaati hain
zaroori to nahin ke har kashti ka koi kinara ho

---

aaj teri yaad ko seene se laga ke royeh
khayalon mein tujhe pass bula ke roye
pukara tujh ko tanhayi mein har baar
tujh ko na pass pa kar roye

---

dar se haath na milate to aur kya karte
gam se aansoon na bhate to aur kya karte
us ne maangi thi hum se roshni
hum qud ko na jalate to aur kya karte

No comments:

Post a Comment